
Dil e nadaan tujhe hua kya hai-
Dil e nadaan tujhe hua kya hai
Aakhir is dard ki dawa kya hai
Hum hain mushtaq aur woh bezaar hain
Ya Ilahi yeh maajra kya hai
Main bhi mun main zabaan rakhta hoon
Kaash poocho ke madaa kya hai
Jab ke tujh bin nahin koi maujood
Phir yeh hungama aih Khuda kya hai
Yeh pari chehra log kese hain
Ghamza o aashoora o ada kya hai
Sabza o gul kahan se aaye hain
Abar kya cheez hai, Hawa kya hai
Hum ko unse wafa ki hai ummeed
Jo nahin jaante wafa kya hai
Haan bhula kar tera bhala hoga
Aur darwesh ki sada kya hai
Jaan tum par nisaar karta hooon
Main nahin jaanta dua kya hai
Main ne mana ke kuch nahin Ghalib
Muft haath aaye tau bura kya hai